phir chale tir-e-nazar phir wo tamasha dekhen
phir chale tīr-e-nazar phir vo tamāshā dekheñ
kyā mirā dil hai mire dil kā kalejā dekheñ
vo mire naz' ke 'ālam kā tamāshā dekheñ
ab jo aa.e haiñ to jaatī huī duniyā dekheñ
vaqt kam aur zamāne meñ hazāroñ manzar
pūchhte haiñ nigah-e-shauq se kyā kyā dekheñ
ham ne maanā ki bahut dekhe haiñ marne vaale
aap marne kā hamāre bhī tamāshā dekheñ
chhupne vaale havas-e-tālib-e-dīdār to dekh
ye tamanna thī ki ham hasb-e-tamannā dekheñ
aa.ina sāmne rakh lījiye khul jaa.e abhī
aap kyā chiiz haiñ ye aap tamāshā dekheñ
ātish-e-'ishq se dil ḳhaak huā jaatā hai
ghar kisī kā jale aur aap tamāshā dekheñ
maut kī fikr meñ be-maut marā jaatā huuñ
mujh ko dekheñ vo mire dil kī tamanna dekheñ
ham ko auroñ se zamāne meñ sarokār nahīñ
tū dikhā.e jo tamāshā vo tamāshā dekheñ
sadqe sadqe tire ai jalva-e-jānāñ sadqe
jo tujhe dekh leñ vo muñh na kisī kā dekheñ
hai yaqīñ hazrat-e-'bismil' kī tarah hoñ bismil
aap agar un ke taḌapne kā tamāshā dekheñ
phir chale tir-e-nazar phir wo tamasha dekhen
kya mera dil hai mere dil ka kaleja dekhen
wo mere naz' ke 'alam ka tamasha dekhen
ab jo aae hain to jati hui duniya dekhen
waqt kam aur zamane mein hazaron manzar
puchhte hain nigah-e-shauq se kya kya dekhen
hum ne mana ki bahut dekhe hain marne wale
aap marne ka hamare bhi tamasha dekhen
chhupne wale hawas-e-talib-e-didar to dekh
ye tamanna thi ki hum hasb-e-tamanna dekhen
aaina samne rakh lijiye khul jae abhi
aap kya chiz hain ye aap tamasha dekhen
aatish-e-'ishq se dil KHak hua jata hai
ghar kisi ka jale aur aap tamasha dekhen
maut ki fikr mein be-maut mara jata hun
mujh ko dekhen wo mere dil ki tamanna dekhen
hum ko auron se zamane mein sarokar nahin
tu dikhae jo tamasha wo tamasha dekhen
sadqe sadqe tere ai jalwa-e-jaanan sadqe
jo tujhe dekh len wo munh na kisi ka dekhen
hai yaqin hazrat-e-'bismil' ki tarah hon bismil
aap agar un ke taDapne ka tamasha dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.