phir chaman mein bahaar de maula
phir chaman meñ bahār de maulā
bāġh-e-hastī sañvār de maulā
jo bahut be-qarār rahte haiñ
un diloñ ko qarār de maulā
raat ḳhvāboñ meñ us se milnā hai
jald ye din guzār de maulā
bhuul shāyad use nahīñ saktā
par mujhe iḳhtiyār de maulā
bhiiḌ meñ dil mirā nahīñ lagtā
dāman-e-kohsār de maulā
tū hī detā hai jis ko jo māñge
mujh ko bas merā yaar de maulā
phir chaman mein bahaar de maula
bagh-e-hasti sanwar de maula
jo bahut be-qarar rahte hain
un dilon ko qarar de maula
raat KHwabon mein us se milna hai
jald ye din guzar de maula
bhul shayad use nahin sakta
par mujhe iKHtiyar de maula
bhiD mein dil mera nahin lagta
daman-e-kohsar de maula
tu hi deta hai jis ko jo mange
mujh ko bas mera yar de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.