phir chhuT gaya hath se daman-e-tamanna
phir chhūT gayā haath se dāmān-e-tamanna
phir luuT liyā baḳht ne sāmān-e-tamanna
phir jam gayā vīrāne kā naqsha mire ghar meñ
tārāj huā phir sar-o-sāmān-e-tamanna
har samt añdherā hai nazar kuchh nahīñ aatā
gul ho ga.ī phir sham.a-e-shabistān-e-tamanna
muddat se hai ik mauj tah-e-āb sī dil meñ
ab josh pe aatā nahīñ tūfān-e-tamannā
sochā kiye aa.egī kabhī fasl-e-bahārī
murjhā gayā āḳhir chamanistān-e-tamanna
saaqī hai na sahbā hai na sāġhar na subū hai
barham huī vo bazm-e-ḳhumistān-e-tamanna
tūfān kī maujoñ ke karam par hai safīna
hai ḳhāliq-e-ālam hī nigahbān-e-tamannā
jiite haiñ faqat maut kī ummīd pe ai 'nūr'
daftar meñ nahīñ ziist ke unvān-e-tamannā
phir chhuT gaya hath se daman-e-tamanna
phir luT liya baKHt ne saman-e-tamanna
phir jam gaya virane ka naqsha mere ghar mein
taraj hua phir sar-o-saman-e-tamanna
har samt andhera hai nazar kuchh nahin aata
gul ho gai phir shama-e-shabistan-e-tamanna
muddat se hai ek mauj tah-e-ab si dil mein
ab josh pe aata nahin tufan-e-tamanna
socha kiye aaegi kabhi fasl-e-bahaari
murjha gaya aaKHir chamanistan-e-tamanna
saqi hai na sahba hai na saghar na subu hai
barham hui wo bazm-e-KHumistan-e-tamanna
tufan ki maujon ke karam par hai safina
hai KHaliq-e-alam hi nigahban-e-tamanna
jite hain faqat maut ki ummid pe ai 'nur'
daftar mein nahin zist ke unwan-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.