phir etibar-e-ishq ke qabil nahin raha
phir e'tibār-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
jo dil tirī nazar se girā dil nahīñ rahā
nashtar chubho.e ab na pashemānī-e-nigāh
mujh ko to shikva-e-ḳhalish-e-dil nahīñ rahā
maujeñ ubhār kar mujhe jis samt le chaleñ
hadd-e-nigāh tak kahīñ sāhil nahīñ rahā
kyā kahiye ab ma.āl-e-mohabbat kī sarguzisht
yaad us kī rah ga.ī hai magar 'dil' nahīñ rahā
phir e'tibar-e-ishq ke qabil nahin raha
jo dil teri nazar se gira dil nahin raha
nashtar chubhoe ab na pashemani-e-nigah
mujh ko to shikwa-e-KHalish-e-dil nahin raha
maujen ubhaar kar mujhe jis samt le chalen
hadd-e-nigah tak kahin sahil nahin raha
kya kahiye ab maal-e-mohabbat ki sarguzisht
yaad us ki rah gai hai magar 'dil' nahin raha
- Book : Noquush (Pg. B-333 E-339)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.