Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ehtimam-e-talea-e-na-sazgar hai

Abdul Hadi Wafa

phir ehtimam-e-talea-e-na-sazgar hai

Abdul Hadi Wafa

MORE BYAbdul Hadi Wafa

    phir ehtimām-e-tāle.a-e-nā-sāzgār hai

    phir imtihān-e-gardish-e-lail-o-nahār hai

    phir dil-nashīñ hai sheva-e-rusvā.ī āh-āh

    phir haa.e haa.e ruuh rag-e-intizār hai

    zabt-e-vafā phir ye taqāzā ki haañ ḳhamosh

    lab par hai phir ye uzr ki dil be-qarār hai

    Tapkā rahī hai rang-e-junūñ phir havā-e-shauq

    mauj-e-ġhubār phir rag-e-abr-e-bahār hai

    phir naqsh-e-yās bol uThā ai ḳhushā-fareb

    dast-e-havas meñ ḳhāma-e-jādū-nigār hai

    sun lo pukāre kahtī hai phir mastī-e-ḳhayāl

    kah do naved-e-va.ada-e-dīdār-e-yār hai

    ḳhākistar-e-ḳhayāl se chamke sharār-e-shauq

    phir intizār-e-jumbish-e-dāmān-e-yār hai

    phir josh-e-ḳhvāb-e-baḳht-e-siyah ke phire haiñ din

    phir maiñ huuñ aur fasāna-e-shab-hā-e-tār hai

    be-rangiyoñ meñ jalva-e-sad-rang dekhnā

    ḳhvāb-e-adam bhī ā.ina-e-intizār hai

    sab kuchh sahī 'vafā' magar itnā bhī soch lo

    aalam tilism-e-ā.ina-e-e.atibār hai

    phir ehtimam-e-talea-e-na-sazgar hai

    phir imtihan-e-gardish-e-lail-o-nahaar hai

    phir dil-nashin hai shewa-e-ruswai aah-ah

    phir hae hae ruh rag-e-intizar hai

    zabt-e-wafa ka phir ye taqaza ki han KHamosh

    lab par hai phir ye uzr ki dil be-qarar hai

    Tapka rahi hai rang-e-junun phir hawa-e-shauq

    mauj-e-ghubar phir rag-e-abr-e-bahaar hai

    phir naqsh-e-yas bol uTha ai KHusha-fareb

    dast-e-hawas mein KHama-e-jadu-nigar hai

    sun lo pukare kahti hai phir masti-e-KHayal

    kah do nawed-e-wada-e-didar-e-yar hai

    KHakistar-e-KHayal se chamke sharar-e-shauq

    phir intizar-e-jumbish-e-daman-e-yar hai

    phir josh-e-KHwab-e-baKHt-e-siyah ke phire hain din

    phir main hun aur fasana-e-shab-ha-e-tar hai

    be-rangiyon mein jalwa-e-sad-rang dekhna

    KHwab-e-adam bhi aaina-e-intizar hai

    sab kuchh sahi 'wafa' magar itna bhi soch lo

    aalam tilism-e-aina-e-eatibar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now