phir ek bachcha hai rone wala
phir ek bachcha hai rone vaalā
phir aa gayā hai khilaune vaalā
vo ek qatra thā bārishoñ kā
hamārī kashtī Dubone vaalā
maiñ jis kā sadiyoñ se muntazir thā
vo ek lamha hai khone vaalā
shafaq bujhā kar chalā gayā hai
fazā meñ motī pirone vaalā
jatan hazāroñ kiye ga.e the
huā vahī jo thā hone vaalā
phir ek bachcha hai rone wala
phir aa gaya hai khilaune wala
wo ek qatra tha barishon ka
hamari kashti Dubone wala
main jis ka sadiyon se muntazir tha
wo ek lamha hai khone wala
shafaq bujha kar chala gaya hai
faza mein moti pirone wala
jatan hazaron kiye gae the
hua wahi jo tha hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.