phir hamein dida-e-tar yaad aaya
phir hameñ dīda-e-tar yaad aaya
phir hameñ nūr-e-sahar yaad aaya
husn-e-ḳhat sar-ba-muhar yaad aaya
shaq huā jis ke ishāre se qamar
aaj vo rashk-e-qamar yaad aaya
soz-e-dil ban gayā parkāla-e-ishq
sho.ala-bar-dosh jigar yaad aaya
dekhne se tujhe ai sham-e-haram
shab-e-isrā kā safar yaad aaya
ashk ruḳhsār pe Dhalne se tire
ham ko tābinda-guhar yaad aaya
kyoñ zuleḳhā ke qarīñ yūsuf ko
shāhid-e-ġhaib kā dar yaad aaya
shāmil-e-fikr-e-suḳhan ho 'nasrīn'
nāma-bar koī agar yaad aaya
phir hamein dida-e-tar yaad aaya
phir hamein nur-e-sahar yaad aaya
husn-e-KHat sar-ba-muhar yaad aaya
shaq hua jis ke ishaare se qamar
aaj wo rashk-e-qamar yaad aaya
soz-e-dil ban gaya parkala-e-ishq
shoala-bar-dosh jigar yaad aaya
dekhne se tujhe ai sham-e-haram
shab-e-isra ka safar yaad aaya
ashk ruKHsar pe Dhalne se tere
hum ko tabinda-guhar yaad aaya
kyon zuleKHa ke qarin yusuf ko
shahid-e-ghaib ka dar yaad aaya
shamil-e-fikr-e-suKHan ho 'nasrin'
nama-bar koi agar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.