phir hasin wadi-e-gulshan mein saja li aankhen
phir hasīñ vādī-e-gulshan meñ sajā lī āñkheñ
jab se us shoḳh kī dekhī haiñ ġhazālī āñkheñ
tū ne ai dost ye kyoñ mujh se churā lī āñkheñ
ab liye phirtā huuñ dar dar pe savālī āñkheñ
dil meñ uThne lage tūfān-o-havādis paiham
un kī āñkhoñ se ye kyoñ maiñ ne milā lī āñkheñ
muztarib ho gayā dil apnā nazāroñ ke liye
dekh kar mujh ko kisī ne jo chhupā lī āñkheñ
merī āñkhoñ ko mayassar thā sukūñ jin ke sabab
chhup ga.iiñ jaane kahāñ ab vo misālī āñkheñ
kaise ham karte tamannāoñ kā iz.hār 'amīr'
lab idhar khole udhar us ne nikālī āñkheñ
phir hasin wadi-e-gulshan mein saja li aankhen
jab se us shoKH ki dekhi hain ghazali aankhen
tu ne ai dost ye kyon mujh se chura li aankhen
ab liye phirta hun dar dar pe sawali aankhen
dil mein uThne lage tufan-o-hawadis paiham
un ki aankhon se ye kyon main ne mila li aankhen
muztarib ho gaya dil apna nazaron ke liye
dekh kar mujh ko kisi ne jo chhupa li aankhen
meri aankhon ko mayassar tha sukun jin ke sabab
chhup gain jaane kahan ab wo misali aankhen
kaise hum karte tamannaon ka izhaar 'amir'
lab idhar khole udhar us ne nikali aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.