phir hua sauda dil-e-nashad kya
phir huā saudā dil-e-nāshād kyā
aa gayā bhūlā huā phir yaad kyā
ham-qafas kuchh sa.i-e-āzādī bhī kar
har ghaḌī ye shikva-e-sayyād kyā
bhā ga.iiñ kyoñ dahr kī rangīniyāñ
ho gayā zauq-e-nazar barbād kyā
aks-e-rangīñ hai nigāh-e-shauq kā
aur sharh-e-ālam-e-ījād kyā
zarre zarre kā jigar hai chāk-chāk
aur hogī ishq kī rūdād kyā
zindagī hai vaqf-e-sa.ī-e-rā.egāñ
aur mujh 'nāshād' kī rūdād kyā
phir hua sauda dil-e-nashad kya
aa gaya bhula hua phir yaad kya
ham-qafas kuchh sai-e-azadi bhi kar
har ghaDi ye shikwa-e-sayyaad kya
bha gain kyon dahr ki ranginiyan
ho gaya zauq-e-nazar barbaad kya
aks-e-rangin hai nigah-e-shauq ka
aur sharh-e-alam-e-ijad kya
zarre zarre ka jigar hai chaak-chaak
aur hogi ishq ki rudad kya
zindagi hai waqf-e-sai-e-raegan
aur mujh 'nashad' ki rudad kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.