phir hua zikr-e-KHarabaat KHuda KHair kare
phir huā zikr-e-ḳharābāt ḳhudā ḳhair kare
aa.ī phir jhuum ke barsāt ḳhudā ḳhair kare
machle machle hue jazbāt ḳhudā ḳhair kare
bhīgī bhīgī sī javāñ raat ḳhudā ḳhair kare
chashm-e-mad.hosh ke betāb gulābī Dore
dāvat-e-mai ke ishārāt ḳhudā ḳhair kare
nargis-e-mast hasīñ ḳhvāb se jaag uTThī hai
us ke ma.asūm savālāt ḳhudā ḳhair kare
bahkī bahkī sī fazāoñ kī sadā-e-rañgīñ
mausam-e-gul ke taqāzāt ḳhudā ḳhair kare
har taraf jam.a hue qatl ke sāmāñ 'tālib'
aur akelī hai tirī zaat ḳhudā ḳhair kare
phir hua zikr-e-KHarabaat KHuda KHair kare
aai phir jhum ke barsat KHuda KHair kare
machle machle hue jazbaat KHuda KHair kare
bhigi bhigi si jawan raat KHuda KHair kare
chashm-e-madhosh ke betab gulabi Dore
dawat-e-mai ke ishaaraat KHuda KHair kare
nargis-e-mast hasin KHwab se jag uTThi hai
us ke masum sawalat KHuda KHair kare
bahki bahki si fazaon ki sada-e-rangin
mausam-e-gul ke taqazat KHuda KHair kare
har taraf jama hue qatl ke saman 'talib'
aur akeli hai teri zat KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.