phir hujum-e-gham-e-jaanan hai KHuda KHair kare
phir hujum-e-gham-e-jaanan hai KHuda KHair kare
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
phir hujūm-e-ġham-e-jānāñ hai ḳhudā ḳhair kare
phir mirī maut kā sāmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
un ko sūjhī hai taġhāful kī rivāyāt-e-kuhan
zindagī mujh se gurezāñ hai ḳhudā ḳhair kare
khul na jaa.e kahīñ aise meñ sitāroñ kā bharam
vā naqāb-e-ruḳh-e-jānāñ hai ḳhudā ḳhair kare
apnī hī aag meñ jal jaa.e na dāmān-e-hayāt
har nafas sho.ala-ba-dāmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
ye javānī ye tabassum ye nigāhoñ kā fusūñ
kashmakash meñ mirā īmāñ hai ḳhudā ḳhair kare
dast-e-nāzuk meñ tire rang-e-hinā ke badle
surḳhī-e-ḳhūn-e-shahīdāñ hai ḳhudā ḳhair kare
pīchhe pīchhe chale aate haiñ mire dair-o-haram
sāmne manzil-e-jānāñ hai ḳhudā ḳhair kare
aaj phir dil kā har ik zaḳhm ubhar aayā hai
aaj phir koī ġhazal-ḳhvāñ hai ḳhudā ḳhair kare
rang lā kar hī rahī aglī javānī 'muḳhtār'
dast-e-vahshat meñ garebāñ hai ḳhudā ḳhair kare
phir hujum-e-gham-e-jaanan hai KHuda KHair kare
phir meri maut ka saman hai KHuda KHair kare
un ko sujhi hai taghaful ki riwayat-e-kuhan
zindagi mujh se gurezan hai KHuda KHair kare
khul na jae kahin aise mein sitaron ka bharam
wa naqab-e-ruKH-e-jaanan hai KHuda KHair kare
apni hi aag mein jal jae na daman-e-hayat
har nafas shoala-ba-daman hai KHuda KHair kare
ye jawani ye tabassum ye nigahon ka fusun
kashmakash mein mera iman hai KHuda KHair kare
dast-e-nazuk mein tere rang-e-hina ke badle
surKHi-e-KHun-e-shahidan hai KHuda KHair kare
pichhe pichhe chale aate hain mere dair-o-haram
samne manzil-e-jaanan hai KHuda KHair kare
aaj phir dil ka har ek zaKHm ubhar aaya hai
aaj phir koi ghazal-KHwan hai KHuda KHair kare
rang la kar hi rahi agli jawani 'muKHtar'
dast-e-wahshat mein gareban hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.