phir ek KHushi se kiya usne ham-kanar mujhe
phir ik ḳhushī se kiyā us ne ham-kanār mujhe
vo khīñch le gayā dariyā-e-ġham ke paar mujhe
charāġh-e-rāh-e-mohabbat huuñ taaq meñ rakhnā
ġhubār-e-qarya-e-nafrat meñ mat utaar mujhe
maiñ us kī yaad meñ rātoñ ko so nahīñ saktī
vo duur rah ke bhī rakhtā hai ashk-bār mujhe
kaTī patañg sī aTkī huuñ shāḳh-e-nāzuk par
havā kā haath bhī kartā hai taar taar mujhe
miTā de mujh ko yā rakh le sameT kar dil meñ
tū hijr jaisī aziyyat se mat guzār mujhe
tū jāntā hai ki maiñ be-gharī se Dartī huuñ
nikāl dil se na aise tū baar baar mujhe
maiñ intizār ke barzaḳh meñ jaltī rahtī huuñ
hazār vasvase rakhte haiñ be-qarār mujhe
maiñ chāhtī huuñ use bhūlnā magar 'fauzī'
qasam ḳhudā kī nahīñ ḳhud pe iḳhtiyār mujhe
phir ek KHushi se kiya us ne ham-kanar mujhe
wo khinch le gaya dariya-e-gham ke par mujhe
charagh-e-rah-e-mohabbat hun taq mein rakhna
ghubar-e-qarya-e-nafrat mein mat utar mujhe
main us ki yaad mein raaton ko so nahin sakti
wo dur rah ke bhi rakhta hai ashk-bar mujhe
kaTi patang si aTki hun shaKH-e-nazuk par
hawa ka hath bhi karta hai tar tar mujhe
miTa de mujh ko ya rakh le sameT kar dil mein
tu hijr jaisi aziyyat se mat guzar mujhe
tu jaanta hai ki main be-ghari se Darti hun
nikal dil se na aise tu bar bar mujhe
main intizar ke barzaKH mein jalti rahti hun
hazar waswase rakhte hain be-qarar mujhe
main chahti hun use bhulna magar 'fauzi'
qasam KHuda ki nahin KHud pe iKHtiyar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.