phir is ke baad to sat aasman udas rahe
phir is ke baad to saat āsmāñ udaas rahe
vo chāhtā thā merā sā.ebāñ udaas rahe
kise paḌī hai ki kyā baat thī ki har koī
bahut hī ḳhush thā jahāñ ham vahāñ udaas rahe
to kyā huā jo bichhaḌne kā ġham nahīñ thā use
tum apnī socho na tum bhī kahāñ udaas rahe
koī hañse mire aage to ronā aatā hai
maiñ huuñ udaas to saarā jahāñ udaas rahe
maiñ jal rahā huuñ ye hañsne kī baat hai koī
use kaho ki ye merā dhuāñ udaas rahe
ye merā dil hai ki har rañg sokh letā hai
na aa.e koī bhī vo jo yahāñ udaas rahe
phir is ke baad to sat aasman udas rahe
wo chahta tha mera saeban udas rahe
kise paDi hai ki kya baat thi ki har koi
bahut hi KHush tha jahan hum wahan udas rahe
to kya hua jo bichhaDne ka gham nahin tha use
tum apni socho na tum bhi kahan udas rahe
koi hanse mere aage to rona aata hai
main hun udas to sara jahan udas rahe
main jal raha hun ye hansne ki baat hai koi
use kaho ki ye mera dhuan udas rahe
ye mera dil hai ki har rang sokh leta hai
na aae koi bhi wo jo yahan udas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.