phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae
phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae
Moin Ahsan Jazbi
MORE BYMoin Ahsan Jazbi
phir ishrat-e-sāhil yaad aa.ī phir shorish-e-tūfāñ bhuul ga.e
nairañgi-e-daurāñ ke maare nairañgi-e-daurāñ bhuul ga.e
har manzil thī dil kī manzil jab dil ko ġham-e-manzil na rahā
har kūcha kūcha-e-jānāñ thā jab kūcha-e-jānāñ bhuul ga.e
ne kaif-e-mohabbat kā aalam ne raqs-e-vafā ne mauj-e-karam
kyā vaj.h-e-javāz-e-bāda-kashī ai bāda-gusārāñ bhuul ga.e
ab sehn-e-gulistāñ meñ 'jazbī' khiltī hī nahīñ hai koī kalī
āhañg-e-nashāt-āgīñ shāyad murġhān-e-ḳhush-alhāñ bhuul ga.e
phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae
nairangi-e-dauran ke mare nairangi-e-dauran bhul gae
har manzil thi dil ki manzil jab dil ko gham-e-manzil na raha
har kucha kucha-e-jaanan tha jab kucha-e-jaanan bhul gae
ne kaif-e-mohabbat ka aalam ne raqs-e-wafa ne mauj-e-karam
kya wajh-e-jawaz-e-baada-kashi ai baada-gusaran bhul gae
ab sehn-e-gulistan mein 'jazbi' khilti hi nahin hai koi kali
aahang-e-nashat-agin shayad murghan-e-KHush-alhan bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.