phir jahan-e-arzu ki dilkashi bahla gai
phir jahān-e-ārzū kī dilkashī bahlā ga.ī
ātī-jātī kuchh rutoñ kī rāgnī bharmā ga.ī
phir badan kā ik ta'alluq chuTkiyāñ lene lagā
ik hasīñ mauj-e-havā phir rāste mahkā ga.ī
ishrat-e-nazzārgī thī be-ḳhudī-e-shauq tak
uf ḳhirad kī raushnī manzar sabhī dhuñdlā ga.ī
ajnabī se lams shāyad ajnabī hī rah ga.e
be-hisī be-chehragī chehroñ pe yaksar chhā ga.ī
aah vo ehsās kā aalam ki jab lab sil ga.e
āp-bītī aap palkoñ par machal kar aa ga.ī
āsmān-e-fikr par yādoñ kī ik qaus-e-quzah
māziyoñ kā ruup daur-e-hāl meñ dikhlā ga.ī
rāstoñ kī dhuul meñ thiiñ irtiqā kī manzileñ
justujū kuchh zindagī ke rāste dikhlā ga.ī
ātī-jātī sab rutoñ kā le rahī thī jā.eza
rahrav-e-darmānda kī aañkh jo pathrā ga.ī
raah chalte husn kī parchhā.iyoñ ke ruup meñ
kuchh machaltī rangatoñ kī tishnagī bharmā ga.ī
phir jahan-e-arzu ki dilkashi bahla gai
aati-jati kuchh ruton ki ragni bharma gai
phir badan ka ek ta'alluq chuTkiyan lene laga
ek hasin mauj-e-hawa phir raste mahka gai
ishrat-e-nazzargi thi be-KHudi-e-shauq tak
uf KHirad ki raushni manzar sabhi dhundla gai
ajnabi se lams shayad ajnabi hi rah gae
be-hisi be-chehragi chehron pe yaksar chha gai
aah wo ehsas ka aalam ki jab lab sil gae
aap-biti aap palkon par machal kar aa gai
aasman-e-fikr par yaadon ki ek qaus-e-quzah
maziyon ka rup daur-e-haal mein dikhla gai
raston ki dhul mein thin irtiqa ki manzilen
justuju kuchh zindagi ke raste dikhla gai
aati-jati sab ruton ka le rahi thi jaeza
rahraw-e-darmanda ki aankh jo pathra gai
rah chalte husn ki parchhaiyon ke rup mein
kuchh machalti rangaton ki tishnagi bharma gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.