phir jala koi aashiyan sahib
phir jalā koī āshiyāñ sāhib
phir fazā hai dhuāñ dhuāñ sāhib
hai zamīr ek aa.ine kī tarah
dekhiye apnī ḳhāmiyāñ sāhib
aap kā saath kyā huā hai nasīb
merā rasta hai kahkashāñ sāhib
sirf āñkhoñ se baat hotī hai
ishq rakhtā nahīñ zabāñ sāhib
jab burā.ī ko us ne boyā hai
kaise kaaTe vo nekiyāñ sāhib
peḌ ab chhāñv de nahīñ saktā
toḌ Daalī haiñ Dāliyāñ sāhib
kyā haqīqat hai sāmne aa.e
leñ 'qamar' kā bhī imtihāñ sāhib
phir jala koi aashiyan sahib
phir faza hai dhuan dhuan sahib
hai zamir ek aaine ki tarah
dekhiye apni KHamiyan sahib
aap ka sath kya hua hai nasib
mera rasta hai kahkashan sahib
sirf aankhon se baat hoti hai
ishq rakhta nahin zaban sahib
jab burai ko us ne boya hai
kaise kaTe wo nekiyan sahib
peD ab chhanw de nahin sakta
toD Dali hain Daliyan sahib
kya haqiqat hai samne aae
len 'qamar' ka bhi imtihan sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.