phir kabhi KHwab na aae wo suhane wale
phir kabhī ḳhvāb na aa.e vo suhāne vaale
maiñ samajhtī thī ki phir ā.eñge jaane vaale
ghar se nikle to milā ajnabī chehroñ kā hujūm
jhaḌ ga.e phuul bhī shāḳhoñ se purāne vaale
ham haiñ TuuTī huī ik shāḳh-e-gul-e-zard magar
ham ko gul-dān meñ rakkheñge zamāne vaale
ham koī chāñd sitāre haiñ falak par chamkeñ
ham vo aañsū haiñ jo miTTī meñ samāne vaale
tan kī miTTī bhī to hamrāh nahīñ le ke ga.e
kaun sī samt ko jaate haiñ ye jaane vaale
kaise darvāze haiñ dastak nahīñ hotī jin par
jin se ruḳhsat hue pardes basāne vaale
ab ke barsāt bhī bārish ko taraste guzrī
khul ke ro bhī na sake hañsne hañsāne vaale
ab mire dil pe koī naqsh koī naam kahāñ
likhne vaale na rahe aur na miTāne vaale
kitne hī log gharoñ ko nahīñ lauTe haiñ 'sahar'
ham bhī jā.eñge to vāpas nahīñ aane vaale
phir kabhi KHwab na aae wo suhane wale
main samajhti thi ki phir aaenge jaane wale
ghar se nikle to mila ajnabi chehron ka hujum
jhaD gae phul bhi shaKHon se purane wale
hum hain TuTi hui ek shaKH-e-gul-e-zard magar
hum ko gul-dan mein rakkhenge zamane wale
hum koi chand sitare hain falak par chamken
hum wo aansu hain jo miTTi mein samane wale
tan ki miTTi bhi to hamrah nahin le ke gae
kaun si samt ko jate hain ye jaane wale
kaise darwaze hain dastak nahin hoti jin par
jin se ruKHsat hue pardes basane wale
ab ke barsat bhi barish ko taraste guzri
khul ke ro bhi na sake hansne hansane wale
ab mere dil pe koi naqsh koi nam kahan
likhne wale na rahe aur na miTane wale
kitne hi log gharon ko nahin lauTe hain 'sahar'
hum bhi jaenge to wapas nahin aane wale
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.