phir kaun hai jahan mein but bewafa ke baad
phir kaun hai jahāñ meñ but bevafā ke baad
mere liye to ek vahī hai ḳhudā ke baad
hai jurm āshiqī to ḳhatā kar ḳhatā ke baad
aatā hai is meñ lutf-e-ḳhatā har sazā ke baad
samjhā kiye vo ahl-e-ġharaz kā mo.āmla
miTnā paḌā mujhe bhī ḳhud apnī vafā ke baad
āñkheñ uThī huī haiñ agar haath gir paḌe
ya.anī ki intizār-e-asar hai duā ke baad
aatā hai tujh ko aur talavvun-mizāj kyā
shoḳhī ke baad sharm to kyā hai hayā ke baad
ab maiñ huuñ aur kashākash-e-ummīd-o-bīm hai
vo muskurā rahe haiñ mirī iltijā ke baad
ab to davām-e-hāl kī hai aarzū mujhe
matlūb aur kuchh nahīñ un kī razā ke baad
Dar hai ki ye nayā koī tarz-e-sitam na ho
kyoñ mā.il-e-karam haiñ vo jaur-o-jafā ke baad
sañbhle koī to Thokareñ khānā burā nahīñ
ho to talāsh-e-haq havas-e-mā-sivā ke baad
kyoñ āstān-e-dost milī phir koī jabīñ
merī jabīn-e-dair-o-haram-āshnā ke baad
'shākir' jab us ne sun ke kahā jī bajā durust
ham sar jhukā ke rah ga.e arz-e-vafā ke baad
phir kaun hai jahan mein but bewafa ke baad
mere liye to ek wahi hai KHuda ke baad
hai jurm aashiqi to KHata kar KHata ke baad
aata hai is mein lutf-e-KHata har saza ke baad
samjha kiye wo ahl-e-gharaz ka moamla
miTna paDa mujhe bhi KHud apni wafa ke baad
aankhen uThi hui hain agar hath gir paDe
yani ki intizar-e-asar hai dua ke baad
aata hai tujh ko aur talawwun-mizaj kya
shoKHi ke baad sharm to kya hai haya ke baad
ab main hun aur kashakash-e-ummid-o-bim hai
wo muskura rahe hain meri iltija ke baad
ab to dawam-e-haal ki hai aarzu mujhe
matlub aur kuchh nahin un ki raza ke baad
Dar hai ki ye naya koi tarz-e-sitam na ho
kyon mail-e-karam hain wo jaur-o-jafa ke baad
sanbhle koi to Thokaren khana bura nahin
ho to talash-e-haq hawas-e-ma-siwa ke baad
kyon aastan-e-dost mili phir koi jabin
meri jabin-e-dair-o-haram-ashna ke baad
'shakir' jab us ne sun ke kaha ji baja durust
hum sar jhuka ke rah gae arz-e-wafa ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.