phir ke jo wo shoKH nazar kar gaya
phir ke jo vo shoḳh nazar kar gayā
tiir sā kuchh dil se guzar kar gayā
ḳhaak kā sā Dher sar-e-rah huuñ maiñ
qāfila-e-umr safar kar gayā
ḳhuld-e-barīñ us kī hai vaañ būd-o-bāsh
yaañ kisī dil biich jo ghar kar gayā
chhup ke tire kūcha se guzrā maiñ lek
naala ik aalam ko ḳhabar kar gayā
juuñ sharar-e-kāġhaz-e-ātish-zada
shām-e-ġham apnī maiñ sahar kar gayā
tā-ba-falak naala to pahuñchā thā raat
maiñ hī kuchh allāh kā Dar kar gayā
pūchh na 'qā.em' kī kaTī kyūñki umr
juuñ havā yak-chand basar kar gayā
phir ke jo wo shoKH nazar kar gaya
tir sa kuchh dil se guzar kar gaya
KHak ka sa Dher sar-e-rah hun main
qafila-e-umr safar kar gaya
KHuld-e-barin us ki hai wan bud-o-bash
yan kisi dil bich jo ghar kar gaya
chhup ke tere kucha se guzra main lek
nala ek aalam ko KHabar kar gaya
jun sharar-e-kaghaz-e-atish-zada
sham-e-gham apni main sahar kar gaya
ta-ba-falak nala to pahuncha tha raat
main hi kuchh allah ka Dar kar gaya
puchh na 'qaem' ki kaTi kyunki umr
jun hawa yak-chand basar kar gaya
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.