phir KHauf ka ek rang yahan bhi hai wahan bhi
phir ḳhauf kā ik rañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
darpesh koī jañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
mahfūz kahīñ bhī to nahīñ hai sar-e-insāñ
har haath meñ ab sañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ amaañ DhūñDne vaale
insāñ pe zamīñ tañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
allāh re tajdīd-e-rifāqat kī ye koshish
har shaḳhs magar dañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
pāzeb kī jhankār meñ barsāt kī lai meñ
ik rañg ik āhañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
hai garm 'farāġh' aaj bhī bāzār ġhazal kā
par shā.irī be-rañg yahāñ bhī hai vahāñ bhī
phir KHauf ka ek rang yahan bhi hai wahan bhi
darpesh koi jang yahan bhi hai wahan bhi
mahfuz kahin bhi to nahin hai sar-e-insan
har hath mein ab sang yahan bhi hai wahan bhi
jaen to kahan jaen aman DhunDne wale
insan pe zamin tang yahan bhi hai wahan bhi
allah re tajdid-e-rifaqat ki ye koshish
har shaKHs magar dang yahan bhi hai wahan bhi
pazeb ki jhankar mein barsat ki lai mein
ek rang ek aahang yahan bhi hai wahan bhi
hai garm 'faragh' aaj bhi bazar ghazal ka
par shairi be-rang yahan bhi hai wahan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.