phir KHayaban baad shabnam dekhiye fauran khula
phir KHayaban baad shabnam dekhiye fauran khula
Abaan Asif Kachkar
MORE BYAbaan Asif Kachkar
phir ḳhayābāñ baad shabnam dekhiye fauran khulā
nāsehā to dostī kī vird par dushman khulā
hashr tak fir.aun ko miTTī nakāre yaar sun
khul gayā khultā nahīñ thā āḳhirash murdan khulā
shefta kā ḳhand-e-nīmā āstān-e-ishq par
jab khulā.e dil ba-dast-e-dil khulā tan-man khulā
e'timādoñ kā tasavvur jhūTe sheve har jagah
Tuk chhupī dīvāna-vārī Tuk divāna-pan khulā
raftagān-e-be-kasī uftād pā mismār pā
misl-e-zindāñ aaj phir is ġhaar se rahzan khulā
lī chilam az khīñch kar ḳhadshe se andoh-o-alam
muñh jalā pattī jalī shab-tā-sahar īñdhan khulā
nāla-e-bairūn se jā kar hamārī chhat khulī
haif hai raḳhshandagī tāḳhīr tak rauzan khulā
ḳhud 'abān' in se kaho kah do shi.ār-e-ām se
shukr maano tum zamāne jis pe apnā fan khulā
phir KHayaban baad shabnam dekhiye fauran khula
naseha to dosti ki wird par dushman khula
hashr tak firaun ko miTTi nakare yar sun
khul gaya khulta nahin tha aaKHirash murdan khula
shefta ka KHand-e-nima aastan-e-ishq par
jab khulae dil ba-dast-e-dil khula tan-man khula
e'timadon ka tasawwur jhuTe shewe har jagah
Tuk chhupi diwana-wari Tuk diwana-pan khula
raftagan-e-be-kasi uftad pa mismar pa
misl-e-zindan aaj phir is ghaar se rahzan khula
li chilam az khinch kar KHadshe se andoh-o-alam
munh jala patti jali shab-ta-sahar indhan khula
nala-e-bairun se ja kar hamari chhat khuli
haif hai raKHshandagi taKHir tak rauzan khula
KHud 'aban' in se kaho kah do shiar-e-am se
shukr mano tum zamane jis pe apna fan khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.