phir KHayalon mein koi aa gaya sote sote
phir KHayalon mein koi aa gaya sote sote
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
phir ḳhayāloñ meñ koī aa gayā sote sote
aaj kī raat bhī kaT jaa.e na rote rote
ham ko aaya nahīñ chehre kī safā.ī kā ḳhayāl
bas pareshān rahe aa.ina dhote dhote
ab kisī peḌ pe lagte nahīñ aḳhlāq ke phal
zindagī thak ga.ī is biij ko bote bote
ishq to ristā huā zaḳhm hai dil ke haq meñ
daaġh hotā to nikal jaatā vo dhote dhote
ek maañ ho ga.ī behosh ye kah kar 'mohsin'
bhūke hī so ga.e bachche mire rote rote
phir KHayalon mein koi aa gaya sote sote
aaj ki raat bhi kaT jae na rote rote
hum ko aaya nahin chehre ki safai ka KHayal
bas pareshan rahe aaina dhote dhote
ab kisi peD pe lagte nahin aKHlaq ke phal
zindagi thak gai is bij ko bote bote
ishq to rista hua zaKHm hai dil ke haq mein
dagh hota to nikal jata wo dhote dhote
ek man ho gai behosh ye kah kar 'mohsin'
bhuke hi so gae bachche mere rote rote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.