phir khinch gai achanak hamdam kaman-e-taqdir
phir khinch gai achanak hamdam kaman-e-taqdir
Noor Jahan Begam Noor
MORE BYNoor Jahan Begam Noor
phir khiñch ga.ī achānak hamdam kamān-e-taqdīr
aa.e dil-e-hazīñ par jaur-o-sitam ke phir tiir
ġhairoñ se jab mile ham apnā banā ke chhoḌā
aur kar sake na us ko karnā thā jis ko tasḳhīr
auroñ ke chāk-qismat ham ne rafū kiye the
aur sī sake na apnā afsos chāk-e-taqdīr
is darja sū-e-zan hai har baat dil shikan hai
laa.e kahāñ se har din ik dil nayā ba-dil-gīr
pās-e-vafā hamārā mohar-e-dahan banā hai
kis tarah ho sakegī ahvāl-e-dil kī tafsīr
āzād kab thī bulbul jo daam meñ phañsī ab
sayyād ḳhud rag-e-gul thī us ke haq meñ zanjīr
kyoñ surḳh ho rahī haiñ phir tīliyāñ qafas kī
ai ashk-e-ḳhūñ nayā gul shāyad khilā.e taqdīr
aayā jo dar pe mujrim rahmat ne us ko baḳhshā
kyā qābil-e-muāfī apnī nahīñ thī taqsīr
phir khinch gai achanak hamdam kaman-e-taqdir
aae dil-e-hazin par jaur-o-sitam ke phir tir
ghairon se jab mile hum apna bana ke chhoDa
aur kar sake na us ko karna tha jis ko tasKHir
auron ke chaak-qismat hum ne rafu kiye the
aur si sake na apna afsos chaak-e-taqdir
is darja su-e-zan hai har baat dil shikan hai
lae kahan se har din ek dil naya ba-dil-gir
pas-e-wafa hamara mohar-e-dahan bana hai
kis tarah ho sakegi ahwal-e-dil ki tafsir
aazad kab thi bulbul jo dam mein phansi ab
sayyaad KHud rag-e-gul thi us ke haq mein zanjir
kyon surKH ho rahi hain phir tiliyan qafas ki
ai ashk-e-KHun naya gul shayad khilae taqdir
aaya jo dar pe mujrim rahmat ne us ko baKHsha
kya qabil-e-muafi apni nahin thi taqsir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.