phir kisi dard ne lagai sada
phir kisī dard ne lagā.ī sadā
shāyad us ne hamārā pūchhā patā
sar ko Takrātā huuñ divāna huuñ
kaun rahtā hai zehn-o-dil meñ sadā
koī āvāz kyoñ nahīñ detā
aap kā shahr pattharoñ vaalā
vo mirā naam kyoñ nahīñ letā
hai mirā naam jabki us ko patā
ek aahaT hai aur kuchh bhī nahīñ
kaun aa.egā kyā yahāñ hai rakhā
is se pahle kahāñ mukammal thā
tū ne jab naam mere saath likhā
phir kisi dard ne lagai sada
shayad us ne hamara puchha pata
sar ko Takraata hun diwana hun
kaun rahta hai zehn-o-dil mein sada
koi aawaz kyon nahin deta
aap ka shahr pattharon wala
wo mera nam kyon nahin leta
hai mera nam jabki us ko pata
ek aahaT hai aur kuchh bhi nahin
kaun aaega kya yahan hai rakha
is se pahle kahan mukammal tha
tu ne jab nam mere sath likha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.