phir kisi qarya-e-hijrat se mujhe dekhta hai
phir kisī qarya-e-hijrat se mujhe dekhtā hai
ishq ab kaun sī ġhāyat se mujhe dekhtā hai
koī paiġhām musalsal hai mirī ḳhaak ke naam
ik sitāra baḌī muddat se mujhe dekhtā hai
kis ko samjhā.ūñ shab-e-tār meñ dil kī mushkil
chāñd bhī apnī suhūlat se mujhe dekhtā hai
ain mumkin hai samundar ko bulā luuñ maiñ bhī
shahr kā shahr ra.ūnat se mujhe dekhtā hai
aisī vahshat hai in āñkhoñ meñ ki ab sahrā kā
jo bhī zarra hai aqīdat se mujhe dekhtā hai
kaisā ā.īna huuñ hairān nahīñ huuñ 'tāriq'
dekhne vaalā bhī hairat se mujhe dekhtā hai
phir kisi qarya-e-hijrat se mujhe dekhta hai
ishq ab kaun si ghayat se mujhe dekhta hai
koi paigham musalsal hai meri KHak ke nam
ek sitara baDi muddat se mujhe dekhta hai
kis ko samjhaun shab-e-tar mein dil ki mushkil
chand bhi apni suhulat se mujhe dekhta hai
ain mumkin hai samundar ko bula lun main bhi
shahr ka shahr raunat se mujhe dekhta hai
aisi wahshat hai in aankhon mein ki ab sahra ka
jo bhi zarra hai aqidat se mujhe dekhta hai
kaisa aaina hun hairan nahin hun 'tariq'
dekhne wala bhi hairat se mujhe dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.