phir koi apni wafa ka wasta dene laga
phir koī apnī vafā kā vāsta dene lagā
duur se āvāz mujh ko hādsa dene lagā
tai karo apnā safar tanhā.iyoñ kī chhāñv meñ
bhiiḌ meñ koī tumheñ kyuuñ rāsta dene lagā
rāhzan hī raah ke patthar uThā kar le ga.e
ab to manzil kā patā ḳhud qāfila dene lagā
ġhurbatoñ kī aañch meñ jalne se kuchh hāsil na thā
kaise kaise lutf dekho fāsla dene lagā
shahr-e-nā-pursāñ meñ ai 'sarvat' sabhī qaazī bane
ya.anī har nā-faham apnā faisla dene lagā
phir koi apni wafa ka wasta dene laga
dur se aawaz mujh ko hadsa dene laga
tai karo apna safar tanhaiyon ki chhanw mein
bhiD mein koi tumhein kyun rasta dene laga
rahzan hi rah ke patthar uTha kar le gae
ab to manzil ka pata KHud qafila dene laga
ghurbaton ki aanch mein jalne se kuchh hasil na tha
kaise kaise lutf dekho fasla dene laga
shahr-e-na-pursan mein ai 'sarwat' sabhi qazi bane
yani har na-faham apna faisla dene laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.