phir kyā thā jo parde meñ thā rusvā to nahīñ thā
thā rāz-e-mohabbat magar ifshā to nahīñ thā
tum jurm-e-vafā par jo ho āmāda-e-tāzīr
ye sirf mire dil kā taqāzā to nahīñ thā
kyā soch ke aa.ī thī use dekhne ḳhilqat
kuchh ma.arka-e-ishq tamāshā to nahīñ thā
kyuuñ aa ke mire ġham kā sahārā huī ummīd
imroz kā ġham thā ġham-e-fardā to nahīñ thā
phir kis liye ma.atūb zamāna thā 'munavār'
kahtā na ġhazal soch ke aisā to nahīñ thā
phir kya tha jo parde mein tha ruswa to nahin tha
tha raaz-e-mohabbat magar ifsha to nahin tha
tum jurm-e-wafa par jo ho aamada-e-tazir
ye sirf mere dil ka taqaza to nahin tha
kya soch ke aai thi use dekhne KHilqat
kuchh marka-e-ishq tamasha to nahin tha
kyun aa ke mere gham ka sahaara hui ummid
imroz ka gham tha gham-e-farda to nahin tha
phir kis liye matub zamana tha 'munawar'
kahta na ghazal soch ke aisa to nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.