phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka
phir lahlhā uThā samay aamoñ pe baur kā
jaane sakhī kab aa.e musāfir vo duur kā
is gaañv ke nasheb meñ bahtī hai ik nadī
naddī pe ek peḌ jhukā hai khajūr kā
nīlam sī marg nain nigah dil ke ār-pār
jīvan ke ird-gird kiran kunD nuur kā
ik pal milāp phir kaḌe kaḌve kaThin viyog
maqsad thā bas yahī tire mere zuhūr kā
pakkī saḌak ke dāhne qabreñ kuaañ vo gaañv
gaañv kī or-chhor samāñ sīm-thūr kā
ādarsh man meñ chaah kā shardhā nibāh kī
ānand us ke mukh pe muqaddas ġhurūr kā
kuchh raat udaas kuchh kaTe janmoñ jugoñ kī pyaas
kuchh tere mere jism meñ saudā futūr kā
tīkhe tarāz zāviye naT-khaT nachant añg
sundar sarīr kāñch kī turshī sutūr kā
yādeñ vo duur des vo ghar aur vo sāmne
sīmīñ badan siyāh libās ek huur kā
phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka
jaane sakhi kab aae musafir wo dur ka
is ganw ke nasheb mein bahti hai ek nadi
naddi pe ek peD jhuka hai khajur ka
nilam si marg nain nigah dil ke aar-par
jiwan ke ird-gird kiran kunD nur ka
ek pal milap phir kaDe kaDwe kaThin wiyog
maqsad tha bas yahi tere mere zuhur ka
pakki saDak ke dahne qabren kuan wo ganw
ganw ki or-chhor saman sim-thur ka
aadarsh man mein chah ka shardha nibah ki
aanand us ke mukh pe muqaddas ghurur ka
kuchh raat udas kuchh kaTe janmon jugon ki pyas
kuchh tere mere jism mein sauda futur ka
tikhe taraaz zawiye naT-khaT nachant ang
sundar sarir kanch ki turshi sutur ka
yaaden wo dur des wo ghar aur wo samne
simin badan siyah libas ek hur ka
- Book : Ban Baas (Pg. 203)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.