phir mai-e-talKH se bhar saghar-o-mina-e-ghazal
phir mai-e-talḳh se bhar sāġhar-o-mīnā-e-ġhazal
ḳhālī-az-nashsha hai ik 'umr se sahbā-e-ġhazal
bāda-e-nau meñ kahāñ mastī-e-sahbā-e-kuhan
jalva-e-nau meñ kahāñ shoḳhī-e-salmā-e-ġhazal
jis ke har ghūñT meñ mastī hai hayāt-e-nau kī
merī mīnā-e-suḳhan meñ hai vo sahbā-e-ġhazal
naaz kartā hai bajā jis pe gulistān-e-adab
maiñ tirī nazr ko laayā huuñ vo gulhā-e-ġhazal
aur nikhreñge abhī ‘ilm-o-adab ke jalve
aur bikhreñge abhī gesūe-lailā-e-ġhazal
jis kī shoḳhī ne liyā bāda-e-shīrāz se baaj
phir vahī jaam 'atā kar ba-taqāzā-e-ġhazal
'hāfiz' o 'ġhālib' o 'iqbāl' ke afkār-e-jamīl
māya-e-she'r-o-suḳhan ġhāza-e-zebā-e-ġhazal
phir mai-e-talKH se bhar saghar-o-mina-e-ghazal
KHali-az-nashsha hai ek 'umr se sahba-e-ghazal
baada-e-nau mein kahan masti-e-sahba-e-kuhan
jalwa-e-nau mein kahan shoKHi-e-salma-e-ghazal
jis ke har ghunT mein masti hai hayat-e-nau ki
meri mina-e-suKHan mein hai wo sahba-e-ghazal
naz karta hai baja jis pe gulistan-e-adab
main teri nazr ko laya hun wo gulha-e-ghazal
aur nikhrenge abhi ‘ilm-o-adab ke jalwe
aur bikhrenge abhi gesue-laila-e-ghazal
jis ki shoKHi ne liya baada-e-shiraaz se baj
phir wahi jam 'ata kar ba-taqaza-e-ghazal
'hafiz' o 'ghaalib' o 'iqbaal' ke afkar-e-jamil
maya-e-she'r-o-suKHan ghaza-e-zeba-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.