phir mayassar ye mulaqat kabhi ho ki na ho
phir mayassar ye mulāqāt kabhī ho ki na ho
sāmne baiTh ke phir baat kabhī ho ki na ho
aao ham bojh diloñ kā zarā halkā kar leñ
kyā ḳhabar ashkoñ kī barsāt kabhī ho ki na ho
ye bhī mumkin hai ki maiñ aap kā dil rakh pā.ūñ
phir se ye ālam-e-jazbāt kabhī ho ki na ho
chhoḌne vaalā thā dil tere karam kī ummīd
Dar thā phir lutf-e-ishārāt kabhī ho ki na ho
thā irāda ki koī baat adhūrī na rahe
kyā ḳhabar fursat-e-lamhāt kabhī ho ki na ho
pyaar ke naam pe ye zaḳhm bhī haiñ mujh ko qubūl
phir mirī nazr ye sauġhāt kabhī ho ki na ho
tujh se milne kā ye mauqa hameñ qismat se milā
aisī dilchasp mulāqāt kabhī ho ki na ho
yahī behtar hai ki ham kar leñ qubūl apne gunāh
ḳhud se is tarah mulāqāt kabhī ho ki na ho
itnā bebas thā maiñ 'anjum' ki zabāñ khul na sakī
kyā ḳhabar ḳhatm siyah raat kabhī ho ki na ho
phir mayassar ye mulaqat kabhi ho ki na ho
samne baiTh ke phir baat kabhi ho ki na ho
aao hum bojh dilon ka zara halka kar len
kya KHabar ashkon ki barsat kabhi ho ki na ho
ye bhi mumkin hai ki main aap ka dil rakh paun
phir se ye aalam-e-jazbaat kabhi ho ki na ho
chhoDne wala tha dil tere karam ki ummid
Dar tha phir lutf-e-ishaaraat kabhi ho ki na ho
tha irada ki koi baat adhuri na rahe
kya KHabar fursat-e-lamhat kabhi ho ki na ho
pyar ke nam pe ye zaKHm bhi hain mujh ko qubul
phir meri nazr ye saughat kabhi ho ki na ho
tujh se milne ka ye mauqa hamein qismat se mila
aisi dilchasp mulaqat kabhi ho ki na ho
yahi behtar hai ki hum kar len qubul apne gunah
KHud se is tarah mulaqat kabhi ho ki na ho
itna bebas tha main 'anjum' ki zaban khul na saki
kya KHabar KHatm siyah raat kabhi ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.