phir mera dil dukha gai barish
phir mirā dil dukhā ga.ī bārish
aa ke tan-man jalā ga.ī bārish
tum ne va.ada kiyā jab aane kā
tum se pahle hī aa ga.ī bārish
aañkh bhī roī bādaloñ ke sang
saarā kājal bahā ga.ī bārish
aa ke tum bhī sajāo maañg merī
saarī dhartī sajā ga.ī bārish
ham ko jī bhar ke bhiig lene do
aaj tan-man ko bhā ga.ī bārish
rut hai jhūloñ kī aur phūloñ kī
yaad bachpan dilā ga.ī bārish
buuñd ke tiir tan pe chubhte haiñ
pyaas dil kī baḌhā ga.ī bārish
kaisī nudrat hai us kī būñdoñ meñ
svarg dhartī banā ga.ī bārish
jism-o-jāñ sab 'suman' sulag uTThe
zehn-o-dil par jo chhā ga.ī bārish
phir mera dil dukha gai barish
aa ke tan-man jala gai barish
tum ne wada kiya jab aane ka
tum se pahle hi aa gai barish
aankh bhi roi baadalon ke sang
sara kajal baha gai barish
aa ke tum bhi sajao mang meri
sari dharti saja gai barish
hum ko ji bhar ke bhig lene do
aaj tan-man ko bha gai barish
rut hai jhulon ki aur phulon ki
yaad bachpan dila gai barish
bund ke tir tan pe chubhte hain
pyas dil ki baDha gai barish
kaisi nudrat hai us ki bundon mein
swarg dharti bana gai barish
jism-o-jaan sab 'suman' sulag uTThe
zehn-o-dil par jo chha gai barish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.