phir mera duniya mein ji lagne lage
phir mirā duniyā meñ jī lagne lage
kaash vo mujh ko burī lagne lage
ho agarche 'aam sā jumla koī
vo kahe to shā'irī lagne lage
vaqt rahte tark kar denā use
jo mohabbat āḳhirī lagne lage
chār-sū bas dushmanoñ kī bhiiḌ ho
ek sūrat aap kī lagne lage
muddatoñ se saath chaltā ho koī
phir achānak ajnabī lagne lage
apne jaisā ho na koī muntazir
jo bhī shai dekhūñ ghaḌī lagne lage
phir mera duniya mein ji lagne lage
kash wo mujh ko buri lagne lage
ho agarche 'am sa jumla koi
wo kahe to sha'iri lagne lage
waqt rahte tark kar dena use
jo mohabbat aaKHiri lagne lage
chaar-su bas dushmanon ki bhiD ho
ek surat aap ki lagne lage
muddaton se sath chalta ho koi
phir achanak ajnabi lagne lage
apne jaisa ho na koi muntazir
jo bhi shai dekhun ghaDi lagne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.