phir mere dil ka sukun aapne barbaad kiya
phir mire dil kā sukūñ aap ne barbād kiyā
aap se kis ne kahā thā jo mujhe yaad kiyā
pā-ba-zanjīr jo tū ne mujhe sayyād kiyā
mujh ko har ranj se har fikr se āzād kiyā
jaan bhī jaa.e to maiñ uf na karūñgā hargiz
is bharose ne use mā.il-e-bedād kiyā
chaliye maiñ hī sahī paimāñ-shikanī kā mujrim
bevafā maiñ huuñ bajā aap ne irshād kiyā
ik nigāh-e-ġhalat-andāz se dekhā to mujhe
ek lamhe ko sahī dil to mirā shaad kiyā
bhūlne vaale tujhe merī mohabbat kī qasam
ab jo bhūle se kabhī tū ne mujhe yaad kiyā
kis pe ilzām dhareñ dil kī tabāhī kā 'shamīm'
sach to ye hai ki hamīñ ne use barbād kiyā
phir mere dil ka sukun aap ne barbaad kiya
aap se kis ne kaha tha jo mujhe yaad kiya
pa-ba-zanjir jo tu ne mujhe sayyaad kiya
mujh ko har ranj se har fikr se aazad kiya
jaan bhi jae to main uf na karunga hargiz
is bharose ne use mail-e-bedad kiya
chaliye main hi sahi paiman-shikani ka mujrim
bewafa main hun baja aap ne irshad kiya
ek nigah-e-ghalat-andaz se dekha to mujhe
ek lamhe ko sahi dil to mera shad kiya
bhulne wale tujhe meri mohabbat ki qasam
ab jo bhule se kabhi tu ne mujhe yaad kiya
kis pe ilzam dharen dil ki tabahi ka 'shamim'
sach to ye hai ki hamin ne use barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.