phir mere sar pe kaDi dhup ki bauchhaar giri
phir mire sar pe kaḌī dhuup kī bauchhār girī
maiñ jahāñ jā ke chhupā thā vahīñ dīvār girī
log qistoñ meñ mujhe qatl kareñge shāyad
sab se pahle mirī āvāz pe talvār girī
aur kuchh der mirī aas na TuuTī hotī
āḳhirī mauj thī jab haath se patvār girī
agle vaqtoñ meñ suneñge dar-o-dīvār mujhe
merī har chīḳh mire ahd ke us paar girī
ḳhud ko ab gard ke tūfāñ se bachāo 'qaisar'
tum bahut ḳhush the ki ham-sā.e kī dīvār girī
phir mere sar pe kaDi dhup ki bauchhaar giri
main jahan ja ke chhupa tha wahin diwar giri
log qiston mein mujhe qatl karenge shayad
sab se pahle meri aawaz pe talwar giri
aur kuchh der meri aas na TuTi hoti
aaKHiri mauj thi jab hath se patwar giri
agle waqton mein sunenge dar-o-diwar mujhe
meri har chiKH mere ahd ke us par giri
KHud ko ab gard ke tufan se bachao 'qaisar'
tum bahut KHush the ki ham-sae ki diwar giri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.