phir mujhse koi mera pata puchh raha hai
phir mujh se koī merā pata pūchh rahā hai
ye tarz-e-taġhāful bhī mohabbat kī adā hai
fariyād mirī tere sivā kaun sunegā
tū merā ḳhudā merā ḳhudā merā ḳhudā hai
sar-tā-ba-qadam ā.ina-e-ġhuncha-o-shabnam
us jān-e-gulistāñ kā har andāz nayā hai
ham zulm-o-sitam sah ke bhī shikva na kareñge
taslīm-o-razā sheva-e-arbāb-e-vafā hai
phir mujh se koi mera pata puchh raha hai
ye tarz-e-taghaful bhi mohabbat ki ada hai
fariyaad meri tere siwa kaun sunega
tu mera KHuda mera KHuda mera KHuda hai
sar-ta-ba-qadam aaina-e-ghuncha-o-shabnam
us jaan-e-gulistan ka har andaz naya hai
hum zulm-o-sitam sah ke bhi shikwa na karenge
taslim-o-raza shewa-e-arbab-e-wafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.