phir mujhe har sitam gawara hai
phir mujhe har sitam gavārā hai
aap kah deñ ki tū hamārā hai
multafit aap bhī hue haiñ aaj
jab mujhe maut ne pukārā hai
maut jab zindagī se behtar thī
ham ne vo vaqt bhī guzārā hai
tum mujhe ġhair kyoñ samajhte ho
ab mirā har-nafas tumhārā hai
muddatoñ ġham ko raaz meñ rakkhā
ab to ye raaz āshkārā hai
Duub jā.eñge Dūbne vaale
ek tinke kā kyā sahārā hai
tum hī yaad aa.e ho musībat meñ
jab pukārā tumheñ pukārā hai
tum agar mai pilāo āñkhoñ se
talḳhī-e-zīst bhī gavārā hai
ai 'shifā' dost se nahīñ shikva
ham ko apnī vafā ne maarā hai
phir mujhe har sitam gawara hai
aap kah den ki tu hamara hai
multafit aap bhi hue hain aaj
jab mujhe maut ne pukara hai
maut jab zindagi se behtar thi
hum ne wo waqt bhi guzara hai
tum mujhe ghair kyon samajhte ho
ab mera har-nafas tumhaara hai
muddaton gham ko raaz mein rakkha
ab to ye raaz aashkara hai
Dub jaenge Dubne wale
ek tinke ka kya sahaara hai
tum hi yaad aae ho musibat mein
jab pukara tumhein pukara hai
tum agar mai pilao aankhon se
talKHi-e-zist bhi gawara hai
ai 'shifa' dost se nahin shikwa
hum ko apni wafa ne mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.