phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
phir mujhe kaun-o-makāñ dasht-o-bayābāñ se lage
rū-ba-rū kaun thā jo aa.ine hairāñ se lage
kuchh thī kam-hauslagī apnī thī kuchh be-basarī
kuchh hameñ ishq ke hangāme bhī āsāñ se lage
zindagī mere izāfe mujhe vāpas kar de
jhaaḌ de ḳhaar jo nāhaq tire dāmāñ se lage
vaqt kaTtā rahā thā ahd-e-huzūrī ki firāq
zaḳhm lagte rahe chāhe kisī unvāñ se lage
ziist ham haar ke bhī haath milā.eñ tujh se
apne ye hausle shāyad tujhe be-jāñ se lage
phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
ru-ba-ru kaun tha jo aaine hairan se lage
kuchh thi kam-hauslagi apni thi kuchh be-basari
kuchh hamein ishq ke hangame bhi aasan se lage
zindagi mere izafe mujhe wapas kar de
jhaD de KHar jo nahaq tere daman se lage
waqt kaTta raha tha ahd-e-huzuri ki firaq
zaKHm lagte rahe chahe kisi unwan se lage
zist hum haar ke bhi hath milaen tujh se
apne ye hausle shayad tujhe be-jaan se lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.