phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya
phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya
Bhartendu Harishchandra
MORE BYBhartendu Harishchandra
Interesting Fact
"Janaa.n" has been used as a rhyme for the first couplet (matla) while the rest are having 'alif'.
phir mujhe likhnā jo vasf-e-rū-e-jānāñ ho gayā
vājib is jā par qalam ko sar jhukānā ho gayā
sar-kashī itnī nahīñ zālim hai o zulf-e-siyah
bas ki tārīk apnī āñkhoñ meñ zamāna ho gayā
dhyān aayā jis ghaḌī us ke dahān-e-tañg kā
ho gayā dam band mushkil lab hilānā ho gayā
ai azal jaldī rihā.ī de na bas tāḳhīr kar
ḳhāna-e-tan bhī mujhe ab qaid-ḳhāna ho gayā
aaj tak ā.īna-vash hairān hai is fikr meñ
kab yahāñ aayā sikandar kab ravāna ho gayā
daulat-e-duniyā na kaam aa.egī kuchh bhī ba.ad-e-marg
hai zamīñ meñ ḳhaak qārūñ kā ḳhazāna ho gayā
baat karne meñ jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saa.at meñ tah-o-bālā zamāna ho gayā
dekh lī raftār us gul kī chaman meñ kyā sabā
sarv ko mushkil qadam aage baḌhānā ho gayā
jaan dī āḳhir qafas meñ andalīb-e-zār ne
muzhda hai sayyād vīrāñ āshiyāna ho gayā
zinda kar detā hai ik dam meñ ye īsā-e-nafas
khel is ko goyā murde ko jilānā ho gayā
tausan-e-umr-e-ravāñ dam bhar nahīñ ruktā 'rasā'
har nafas goyā usī kā tāziyāna ho gayā
phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya
wajib is ja par qalam ko sar jhukana ho gaya
sar-kashi itni nahin zalim hai o zulf-e-siyah
bas ki tarik apni aankhon mein zamana ho gaya
dhyan aaya jis ghaDi us ke dahan-e-tang ka
ho gaya dam band mushkil lab hilana ho gaya
ai azal jaldi rihai de na bas taKHir kar
KHana-e-tan bhi mujhe ab qaid-KHana ho gaya
aaj tak aaina-wash hairan hai is fikr mein
kab yahan aaya sikandar kab rawana ho gaya
daulat-e-duniya na kaam aaegi kuchh bhi baad-e-marg
hai zamin mein KHak qarun ka KHazana ho gaya
baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saat mein tah-o-baala zamana ho gaya
dekh li raftar us gul ki chaman mein kya saba
sarw ko mushkil qadam aage baDhana ho gaya
jaan di aaKHir qafas mein andalib-e-zar ne
muzhda hai sayyaad viran aashiyana ho gaya
zinda kar deta hai ek dam mein ye isa-e-nafas
khel is ko goya murde ko jilana ho gaya
tausan-e-umr-e-rawan dam bhar nahin rukta 'rasa'
har nafas goya usi ka taziyana ho gaya
- Book : Bhartendu Samagr (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.