phir mulaqat mein hai ishq ke aaghaz ka rang
phir mulāqāt meñ hai ishq ke āġhāz kā rañg
vahī āvāz kī nik.hat vahī andāz kā rañg
aam alfāz meñ poshīda ma.ānī kī taheñ
har nigāh-e-ġhalat-andāz liye raaz kā rañg
sar-nigūñ haibat-e-jallād-o-shikoh-e-sultāñ
dīdanī daar pe thā ishq-e-sar-e-afrāz kā rañg
aa.e mahfil meñ to larzī haiñ charāġhoñ kī laveñ
un ke dīdār se hai shoḳh gul-e-nāz kā rañg
hāl-e-dil chhup na sakā parda-e-ḳhāmoshī meñ
tarjumāñ dil kā banā āriz-e-ġhammāz kā rañg
phir mulaqat mein hai ishq ke aaghaz ka rang
wahi aawaz ki nikhat wahi andaz ka rang
aam alfaz mein poshida maani ki tahen
har nigah-e-ghalat-andaz liye raaz ka rang
sar-nigun haibat-e-jallad-o-shikoh-e-sultan
didani dar pe tha ishq-e-sar-e-afraaz ka rang
aae mahfil mein to larzi hain charaghon ki lawen
un ke didar se hai shoKH gul-e-naz ka rang
haal-e-dil chhup na saka parda-e-KHamoshi mein
tarjuman dil ka bana aariz-e-ghammaz ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.