phir na koi KHushi nazar aai
phir na koī ḳhushī nazar aa.ī
hañsne ko the ki aañkh bhar aa.ī
hijr kī zindagī ma.āz-allāh
shaam ke bhes meñ sahar aa.ī
jis ko sau baar bhūlnā chāhā
us kī yaad aa.ī umr-bhar aa.ī
hāl-e-dil ab kisī se kyā kahiye
baat kī aur aañkh bhar aa.ī
ham ne jis samt bhī qadam rakkhā
sāmne un kī rahguzar aa.ī
yaad aate hī un kī pahlī nazar
dil kī har choT phir ubhar aa.ī
ḳhanda-e-gul ko dekh kar 'shāriq'
hañsnā chāhā thā aañkh bhar aa.ī
phir na koi KHushi nazar aai
hansne ko the ki aankh bhar aai
hijr ki zindagi maaz-allah
sham ke bhes mein sahar aai
jis ko sau bar bhulna chaha
us ki yaad aai umr-bhar aai
haal-e-dil ab kisi se kya kahiye
baat ki aur aankh bhar aai
hum ne jis samt bhi qadam rakkha
samne un ki rahguzar aai
yaad aate hi un ki pahli nazar
dil ki har choT phir ubhar aai
KHanda-e-gul ko dekh kar 'shaariq'
hansna chaha tha aankh bhar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.