phir nigahon ko wahi manzar purane de gaya
phir nigāhoñ ko vahī manzar purāne de gayā
zindagī ke vāste kaise bahāne de gayā
mujh ko apnī pusht par rakh kar havā.eñ le uḌiiñ
aur merā shauq mujh ko tāziyāne de gayā
ye karam us kā jo mujh ko pattharoñ ke shahr meñ
jitne bhī shīshoñ ke the sab kār-ḳhāne de gayā
maiñ ne us se kuchh nahīñ māñgā magar vo ḳhud mujhe
jo bhī us ke paas the saare ḳhazāne de gayā
ek hī shab vo yahāñ Thahrā magar jaate hue
kyā chhupā kar le gayā aur kyā na jaane de gayā
us parinde ne to ik muddat se khāyā thā na kuchh
ik shikārī aaj aa kar us ko daane de gayā
phir nigahon ko wahi manzar purane de gaya
zindagi ke waste kaise bahane de gaya
mujh ko apni pusht par rakh kar hawaen le uDin
aur mera shauq mujh ko taziyane de gaya
ye karam us ka jo mujh ko pattharon ke shahr mein
jitne bhi shishon ke the sab kar-KHane de gaya
main ne us se kuchh nahin manga magar wo KHud mujhe
jo bhi us ke pas the sare KHazane de gaya
ek hi shab wo yahan Thahra magar jate hue
kya chhupa kar le gaya aur kya na jaane de gaya
us parinde ne to ek muddat se khaya tha na kuchh
ek shikari aaj aa kar us ko dane de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.