phir pahaDon se utar kar aaenge
phir pahāḌoñ se utar kar ā.eñge
raah bhaTke naujavāñ ghar ā.eñge
jin kī ḳhātir haiñ gharoñ ke dar khule
sub.h ke ban kar payambar ā.eñge
phir talātum-ḳhez hai dariyā-e-ḳhūñ
ham tirī taqdīr ban kar ā.eñge
dosto mat sīkhiye sach bolnā
sar pe har jānib se patthar ā.eñge
hāthiyoñ kī mad pe hai ka.aba mirā
kab abābīloñ ke lashkar ā.eñge
phir pahaDon se utar kar aaenge
rah bhaTke naujawan ghar aaenge
jin ki KHatir hain gharon ke dar khule
subh ke ban kar payambar aaenge
phir talatum-KHez hai dariya-e-KHun
hum teri taqdir ban kar aaenge
dosto mat sikhiye sach bolna
sar pe har jaanib se patthar aaenge
hathiyon ki mad pe hai kaba mera
kab ababilon ke lashkar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.