phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye
phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
phir pareshāñ-hāl hai qalb-o-jigar kyā kījiye
ab ilāj-e-gardish-e-shām-o-sahar kyā kījiye
mehrbāñ ho bhī agar ab chārāgar kyā kījiye
kar chukā hai dard hī is dil meñ ghar kyā kījiye
dekhiye kab maut kā jhoñkā bujhā Daale ise
zindagī hai ik charāġh-e-rahguzar kyā kījiye
ham se hotā hī nahīñ dard-e-mohabbat kā ilaaj
ab yahī karte haiñ ham kuchh soch kar kyā kījiye
rāhat-o-ārām kā is meñ nahīñ koī guzar
ho rahī hai zindagī phir bhī basar kyā kījiye
jab hamāre lab pe aatī hai kabhī matlab kī baat
hañs diyā karte haiñ vo muñh pher kar kyā kījiye
sochte haiñ hāl-e-dil ho kis tarah un se bayāñ
vo bigaḌ jaate haiñ har ik baat par kyā kījiye
ham ne jin kī chaah meñ barbād kar dī zindagī
ham pe hotī hī nahīñ un kī nazar kyā kījiye
ham ne 'āsī' un kā har ilzām apne sar liyā
apne dushman the hamīñ kuchh is qadar kyā kījiye
phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye
ab ilaj-e-gardish-e-sham-o-sahar kya kijiye
mehrban ho bhi agar ab chaaragar kya kijiye
kar chuka hai dard hi is dil mein ghar kya kijiye
dekhiye kab maut ka jhonka bujha Dale ise
zindagi hai ek charagh-e-rahguzar kya kijiye
hum se hota hi nahin dard-e-mohabbat ka ilaj
ab yahi karte hain hum kuchh soch kar kya kijiye
rahat-o-aram ka is mein nahin koi guzar
ho rahi hai zindagi phir bhi basar kya kijiye
jab hamare lab pe aati hai kabhi matlab ki baat
hans diya karte hain wo munh pher kar kya kijiye
sochte hain haal-e-dil ho kis tarah un se bayan
wo bigaD jate hain har ek baat par kya kijiye
hum ne jin ki chah mein barbaad kar di zindagi
hum pe hoti hi nahin un ki nazar kya kijiye
hum ne 'asi' un ka har ilzam apne sar liya
apne dushman the hamin kuchh is qadar kya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.