phir se badal ke miTTi ki surat karo mujhe
phir se badal ke miTTī kī sūrat karo mujhe
izzat ke saath duniyā se ruḳhsat karo mujhe
maiñ ne to tum se kī hī nahīñ koī aarzū
paanī ne kab kahā thā ki sharbat karo mujhe
kuchh bhī ho mujh ko ek na.ī shakl chāhiye
dīvār par bichhāo mujhe chhat karo mujhe
jannat pukārtī hai ki maiñ huuñ tire liye
duniyā ba-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe
phir se badal ke miTTi ki surat karo mujhe
izzat ke sath duniya se ruKHsat karo mujhe
main ne to tum se ki hi nahin koi aarzu
pani ne kab kaha tha ki sharbat karo mujhe
kuchh bhi ho mujh ko ek nai shakl chahiye
diwar par bichhao mujhe chhat karo mujhe
jannat pukarti hai ki main hun tere liye
duniya ba-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe
- Book : Shadaba (Pg. 40)
- Author : Munavar Rana
- Publication : Maktaba Al-faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.