phir se ek bar use KHud pe sitam Dhane dun
phir se ek bar use KHud pe sitam Dhane dun
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
phir se ik baar use ḳhud pe sitam Dhāne duuñ
ya.anī vo lauT ke aa.e to use aane duuñ
niiñd ke zaḳhm ke baare meñ na sochūñ itnā
aañkh agar ḳhvāb se ghabrā.e to ghabrāne duuñ
pyaas itnī bhī nahīñ hai ki maiñ rokūñ tujh ko
dil bharā bhī nahīñ itnā ki tujhe jaane duuñ
ek bas ishq ke badle meñ diyā hijr us ne
itnī sī baat pe kyā ḳhaak use ta.ane duuñ
tere māthe kī lakīroñ ko miTā duuñ yaksar
lā jabīñ paas tire rañj ko maiñ shāne duuñ
log ye chāhte haiñ baat na mānūñ dil kī
ruuh khā.egī badan aur badan khāne duuñ
terī vahshat ke ta.iiñ aañkh munāsib hai mirī
aa tujhe ek nahīñ balki do vīrāne duuñ
phir se ek bar use KHud pe sitam Dhane dun
yani wo lauT ke aae to use aane dun
nind ke zaKHm ke bare mein na sochun itna
aankh agar KHwab se ghabrae to ghabrane dun
pyas itni bhi nahin hai ki main rokun tujh ko
dil bhara bhi nahin itna ki tujhe jaane dun
ek bas ishq ke badle mein diya hijr us ne
itni si baat pe kya KHak use tane dun
tere mathe ki lakiron ko miTa dun yaksar
la jabin pas tere ranj ko main shane dun
log ye chahte hain baat na manun dil ki
ruh khaegi badan aur badan khane dun
teri wahshat ke tain aankh munasib hai meri
aa tujhe ek nahin balki do virane dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.