phir se shahnaiyan shamiyane mein hain
phir se shahnā.iyāñ shāmiyāne meñ haiñ
do baḌī kursiyāñ shāmiyāne meñ haiñ
saath sakhiyoñ ke mil kar satātī haiñ jo
chulbulī bhābiyāñ shāmiyāne meñ haiñ
pyaar kī phabtiyāñ pyaar kī gāliyāñ
raat bhar mastiyāñ shāmiyāne meñ haiñ
vaqt-e-ruḳhsat hai ab jā rahī hai dulhan
har taraf siskiyāñ shāmiyāne meñ haiñ
ye chhuḌātā hai ghar gaañv sakhiyāñ 'raqīb'
bas yahī ḳhāmiyāñ shāmiyāne meñ haiñ
phir se shahnaiyan shamiyane mein hain
do baDi kursiyan shamiyane mein hain
sath sakhiyon ke mil kar satati hain jo
chulbuli bhabiyan shamiyane mein hain
pyar ki phabtiyan pyar ki galiyan
raat bhar mastiyan shamiyane mein hain
waqt-e-ruKHsat hai ab ja rahi hai dulhan
har taraf siskiyan shamiyane mein hain
ye chhuData hai ghar ganw sakhiyan 'raqib'
bas yahi KHamiyan shamiyane mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.