phir se tajdid-e-arzu kar len
phir se tajdīd-e-ārzū kar leñ
aa.iye kuchh to guftugū kar leñ
zindagī ke hasīñ dorāhe par
kuchh tamannā-e-rang-o-bū kar leñ
dostoñ se nibāh gar chāheñ
dushmanoñ ko bhī ham subū kar leñ
jism-o-jāñ ruuh ko sañvār to deñ
āñsuoñ se agar vuzū kar leñ
log fard-e-vafā jafā dekheñ
aa.ina dil kā rū-ba-rū kar leñ
aib-jū nukta-chīñ adū hāsid
apnā dāman to ḳhud rafū kar leñ
phir vafā ho na morid-e-ilzām
zulm sahne kī ham bhī ḳhū kar leñ
ḳhud-numā.ī fareb hai 'sādiq'
ḳhud-shanāsī kī justujū kar leñ
phir se tajdid-e-arzu kar len
aaiye kuchh to guftugu kar len
zindagi ke hasin dorahe par
kuchh tamanna-e-rang-o-bu kar len
doston se nibah gar chahen
dushmanon ko bhi hum subu kar len
jism-o-jaan ruh ko sanwar to den
aansuon se agar wuzu kar len
log fard-e-wafa jafa dekhen
aaina dil ka ru-ba-ru kar len
aib-ju nukta-chin adu hasid
apna daman to KHud rafu kar len
phir wafa ho na morid-e-ilzam
zulm sahne ki hum bhi KHu kar len
KHud-numai fareb hai 'sadiq'
KHud-shanasi ki justuju kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.