phir se tera KHayal aaya hai
phir se terā ḳhayāl aayā hai
dard meñ ik ubaal aayā hai
daañv par lag gayā huuñ maiñ shāyad
sikka koī uchhāl aayā hai
vaqt mujh se milā nazākat se
bheḌiyā pahne khaal aayā hai
dil ke andar dimāġh hai us ke
jis ke dil meñ savāl aayā hai
suukh kar aayā hai lahū meñ dam
yuuñ qalam meñ kamāl aayā hai
lāzmī thā umiid andhī honā
raat ke ghar jamāl aayā hai
phir se tera KHayal aaya hai
dard mein ek ubaal aaya hai
danw par lag gaya hun main shayad
sikka koi uchhaal aaya hai
waqt mujh se mila nazakat se
bheDiya pahne khaal aaya hai
dil ke andar dimagh hai us ke
jis ke dil mein sawal aaya hai
sukh kar aaya hai lahu mein dam
yun qalam mein kamal aaya hai
lazmi tha umid andhi hona
raat ke ghar jamal aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.