phir surKH phul shahr ke peDon mein aa gae
phir surḳh phuul shahr ke peḌoñ meñ aa ga.e
rūhoñ meñ jitne zaḳhm the chehroñ meñ aa ga.e
har ik darīcha phuul se chehroñ se bhar gayā
ab to chaman bhī shahr kī galiyoñ meñ aa ga.e
dil meñ tire ḳhulūs ke dariyā the gar ravāñ
sho.ale kahāñ se phir tirī āñkhoñ meñ aa ga.e
ab dekhiyegā kis tarah uḌtī haiñ kirchiyāñ
patthar se log ā.ina-ḳhānoñ meñ aa ga.e
ham sāya-dār peḌ ke nīche haiñ zaḳhm zaḳhm
patthar kahāñ se reshmī pattoñ meñ aa ga.e
bas itne hī jarī the harīfān-e-āftāb
chamkī zarā sī dhuup to kamroñ meñ aa ga.e
'betāb' ab to lauT ke jaanā muhāl hai
ham gahre pāniyoñ ke jazīroñ meñ aa ga.e
phir surKH phul shahr ke peDon mein aa gae
ruhon mein jitne zaKHm the chehron mein aa gae
har ek daricha phul se chehron se bhar gaya
ab to chaman bhi shahr ki galiyon mein aa gae
dil mein tere KHulus ke dariya the gar rawan
shoale kahan se phir teri aankhon mein aa gae
ab dekhiyega kis tarah uDti hain kirchiyan
patthar se log aaina-KHanon mein aa gae
hum saya-dar peD ke niche hain zaKHm zaKHm
patthar kahan se reshmi patton mein aa gae
bas itne hi jari the harifan-e-aftab
chamki zara si dhup to kamron mein aa gae
'betab' ab to lauT ke jaana muhaal hai
hum gahre paniyon ke jaziron mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.