phir taKHayyul yun kisi ka mujhko bahlane laga
phir taḳhayyul yuuñ kisī kā mujh ko bahlāne lagā
qurb jaise dūriyoñ kā ruup apnāne lagā
us ke chehre kī ziyā-pāshī ko shab meñ dekh kar
chāñdnī to chāñdnī hai chāñd sharmāne lagā
jaan kar toḌā kisī ne jab khilaunā pyaar kā
dil koī TuuTe khilaune hī se bahlāne lagā
ahl-e-mahfil kī nazar meñ jaise ik mujrim thī maiñ
uTh ke jab vo shoḳh pahlū se mire jaane lagā
bārhā tark-e-ta'alluq ke liye sochā magar
baḌh ke aage dil mirā mujh ko hī samjhāne lagā
Thokareñ khā kar huā māyūs jab vo ġhair se
zulf merī haath meñ le kar vo suljhāne lagā
dil-jaloñ kī saf meñ ai 'nasrīn' tū bhī aa ga.ī
ab tire rañg-e-taġhazzul meñ maza aane lagā
phir taKHayyul yun kisi ka mujh ko bahlane laga
qurb jaise duriyon ka rup apnane laga
us ke chehre ki ziya-pashi ko shab mein dekh kar
chandni to chandni hai chand sharmane laga
jaan kar toDa kisi ne jab khilauna pyar ka
dil koi TuTe khilaune hi se bahlane laga
ahl-e-mahfil ki nazar mein jaise ek mujrim thi main
uTh ke jab wo shoKH pahlu se mere jaane laga
barha tark-e-ta'alluq ke liye socha magar
baDh ke aage dil mera mujh ko hi samjhane laga
Thokaren kha kar hua mayus jab wo ghair se
zulf meri hath mein le kar wo suljhane laga
dil-jalon ki saf mein ai 'nasrin' tu bhi aa gai
ab tere rang-e-taghazzul mein maza aane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.